Royal Ghazal- Kitni pee kaise kati raat, Mujhe Hosh nahi- Best Urdu Ghazal by Rahat Indori

कितनी पी कैसे कटी रात मुझे होश नहीं
रात के साथ गई बात मुझे होश नहीं



मुझको ये भी नहीं मालूम कि जाना है कहाँ
थाम ले कोई मेरा हाथ मुझे होश नहीं



आँसुओं और शराबों में गुजारी है हयात
मैं ने कब देखी थी बरसात मुझे होश नहीं

जाने क्या टूटा है पैमाना कि दिल है मेरा
बिखरे-बिखरे हैं खयालात मुझे होश नहीं,.,!!!




Kitani pee kaise kati raat mujhe hosh nahin
Raat ke saath gayi baat mujhe hosh nahin

Mujhko ye bhi nahin malum ke jana hai kahan
Thaam le koi mera haath mujhe hosh nahi

Aansuo aur sharabon me gujaari hai hayat
Maine kab dekhi thi barsaat mujhe hosh nahin

Jaane kya toota hai paimana ki dil hai mera
Bikhare bikhare hain khayalat mujhe hosh nahin
Royal Ghazal- Kitni pee kaise kati raat, Mujhe Hosh nahi- Best Urdu Ghazal by Rahat Indori Royal Ghazal- Kitni pee kaise kati raat, Mujhe Hosh nahi- Best Urdu Ghazal by Rahat Indori Reviewed by Ashish Awasthi on September 20, 2012 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.