Bewafa na kaho- Rahat Indori Ghazal

हर एक चेहरे को ज़ख़्मों का आईना न कहो
ये ज़िन्दगी तो है रहमत इसे सज़ा न कहो

न जाने कौन सी मज़बूरीओं का क़ैदी हो,
वो साथ छोड़ गया है तो बेवफ़ा न कहो

तमाम शहर ने नेज़ों पे क्यूँ उछाला मुझे,
ये इत्तेफ़ाक़ था तुम इस को हादसा न कहो



ये और बात कि दुश्मन हुआ है आज मगर,
वो मेरा दोस्त था कल तक उसे बुरा न कहो

हमारे ऐब हमें उँगलियों पे गिनवाओ,
हमारी पीठ के पीछे हमें बुरा न कहो

मैं वक़ियात की ज़न्जीर का नहीं क़ायल,
मुझे भी अपने गुनाहों का सिलसिला न कहो

ये शहर वो है जहाँ राक्षस भी है "राहत",
हर एक तराशे हुये बुत को देवता न कहो,.,!!



*******************************************************************

Har ek chehare ko jakhmon ka aaina na kaho
Ye jindagi to hai rahmat ise saja na kaho

Na jane kaun si majobooriyon ka kaidi ho
Wo sath chhod gaya hai to use bewafa na kaho

Tamam shehar ne nejon pe kyu uchhala hai mujhe
Ye ittefak tha tum ise hadsa na kaho

Ye baat aur hai wo dushman hua aaj magar
Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho

Hamare aib hame ungaliyon par ginwao
Hamari peeth ke peechhe hame bura na kaho

Main waqiyat ki janjeer ka nahi kayal
Mujhe bhi apne gunahon ka silsila na kaho

Ye shehar wo hai jahan rakshash bhi hai "Rahat"
Har ek tarase huye but ko devata na kaho
Bewafa na kaho- Rahat Indori Ghazal Bewafa na kaho- Rahat Indori Ghazal Reviewed by Ashish Awasthi on November 24, 2012 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.