तुम लाख चाहे मेरी आफ़त में जान रखना
पर अपने वास्ते भी कुछ इम्तहान रखना
वो शख़्स काम का है, दो ऐब भी हैं उसमें
इक सर उठाना दूजा मुँह में ज़बान रखना
बदली सी एक लड़की से कुल शहर ख़फ़ा है
वो चाहती है पलकों पर आसमान रखना
केवल फ़क़ीरों को है ये कामयाबी हासिल
मस्ती में जीना और खुश सारा जहान रखना.
***********************************************
"Tum Laakh Chahe Meri Aafat Mein Jaan Rakhna
Par Apne Waaste Bhi Kuchh Imthaan Rakhna
Wo Shakhs Kaam Ka Hai, Do Aib Bhi Hain Usmein
Ik Sar Uthaana Duja Moonh Mein Zabaan Rakhna
Badli Si Ek Ladki Se Kul Shahar Khafa Hai
Wo Chahati Hai Palkon Par Aasmaan Rakhna
Kewal Faqeeron Ko Hai Ye Kaamyaabi Haasil
Masti Mein Jeena Aur Khush Sara Jahaan Rakhnaa.

Best Kavita- Tum Lakh chahe meri aafat me jaan rakhna- Dr. Kumar Vishwas
Reviewed by Ashish Awasthi
on
November 20, 2014
Rating:
No comments: