Tujhse door bhi hu aur pass bhi, Kehne ko khush bhi hu aur udaas bhi- Ashish Awasthi 'KhaaK'



तुझसे दूर भी हूँ मैं  और पास भी 
कहने को खुश भी हूँ मैं और उदास भी ,.,

न जाने क्या हो रहा है इन दिनों 
नफरत भी तू ही है और प्यारा एहसास भी ,.,

कब तक मैं फिरता रहूँ इस रेगिस्तान में 
कड़कती धुप भी तू है और मन की प्यास भी ,.,






सब भूल कर तुझे अपना तो बना लूँ मैं 
पर दुश्मन भी तू है और खास भी ,.,

जितना सोचूं उतनी नफरत , जितना भूलूँ उतना प्यार 
बीता हुआ कल भी तू है , आगे का कयास भी ,.,



किस मर्ज की ,किस हक़ीम से क्या दवा लूँ ?
दवा भी तू , दुआ भी तू और आने वाली सांस भी ,.,

कौन आये ग अब उन दरवाजों के पीछे देखने मुझे 
मैं तेरे शहर से काफी दूर भी हूँ और पास भी ,.,!!!!

                                                                   -आशीष अवस्थी 


Tujhse door bhi hun aur pass bhi
Kehne ko khush bhi hun aur udaas bhi

Na jaane kya ho rha hai in dino
Nafrat bhi tu hai aur pyara ehsaas bhi

Kab tak firta rahu is registan me
Kadakti dhoop bhi tu aur man ki pyaas bhi

Sab kuchh bhool kar tujhe apna to bana lun main
Par dushman bhi tu hai aur khaas bhi

Jitna sochun utani nafrat, jitna bhoolun utna pyar
Beeta hua kal bhi tu hai aur aage ka kayas bhi

Kis marj ki , kis hakeem se kya dawa lun ?
Dawa bhi tu , dua bhi tu aur aane wali saans bhi 

Kaun aaye ga ab un darwajon ke peechhe dekhne mujhe
Main tere shehar se kaafi door bhi hun aur paas bhi 

                                                                        -Ashish Awasthi
Tujhse door bhi hu aur pass bhi, Kehne ko khush bhi hu aur udaas bhi- Ashish Awasthi 'KhaaK' Tujhse door bhi hu aur pass bhi, Kehne ko khush bhi hu aur udaas bhi- Ashish Awasthi 'KhaaK' Reviewed by Ashish Awasthi on February 14, 2015 Rating: 5

11 comments:

Powered by Blogger.