Ho Gayi hai peer parvat se pighalani chahiye- Hindi Kavita by Dushyant Kumar


हो गई है पीर पर्वत-सी पिघलनी चाहिए,
इस हिमालय से कोई गंगा निकलनी चाहिए,.,!!

आज यह दीवार, परदों की तरह हिलने लगी,
शर्त लेकिन थी कि ये बुनियाद हिलनी चाहिए,.,!!

हर सड़क पर, हर गली में, हर नगर, हर गाँव में,
हाथ लहराते हुए हर लाश चलनी चाहिए,.,!!

सिर्फ हंगामा खड़ा करना मेरा मकसद नहीं,
सारी कोशिश है कि ये सूरत बदलनी चाहिए,.,!!

मेरे सीने में नहीं तो तेरे सीने में सही,
हो कहीं भी आग, लेकिन आग जलनी चाहिए,.,!!





***************************************************************

Ho gayi hai peer parvat si pighalni chahiye
Is himalaya se koi ganga nikalni chahiye

Aaj yah deewar pardon ki tarah hilne lagi
Shart lekin thi ke ye buniyad hilni chahiye

Har sadak par , har gali me, har nagar har gano me
Haath lahrate huye har lash chalni chahiye

Sirf Hangama khada karna mera maksad nahi
Sari koshish hai ke ye soorat badalani chahiye

Mere seene me nahi to tere seene me hi sahi
Ho kahi bhi aag lekin aag jalni chahiye

Ho Gayi hai peer parvat se pighalani chahiye- Hindi Kavita by Dushyant Kumar Ho Gayi hai peer parvat se pighalani chahiye- Hindi Kavita by Dushyant Kumar Reviewed by Ashish Awasthi on December 12, 2015 Rating: 5

4 comments:

Powered by Blogger.