Bahut Khoobsurat ho tum- Tahir Faraz Ghazal

Tahir Faraz Ghazal - Bahut Khoobsurat ho tum



Bahut khoobsurat ho tum....
Bahut khoobsurat ho tum....

kabhi mai jo keh du mohabat hai tumse
to mujko khudara galat mat samajna
ke meri jarurat ho tum
bahut khoobsurat ho tum....

hai phoolo ki dali ye baahe tumhari
hai khamosh jaadu nigaahe tumahri
jo kaate ho sab apne daman me rakh lu
sajau mai kaliyo se raahe tumhari

nazar se zamane ki khud ko bachana
kisi or se dekho dil na lagana
ke meri amanat ho tum

bahut khoobsurat ho tum
bahut khoobsurat ho tum






Hai chehra tumhara ke din hai suhnera
or uspe ye kali ghatao ka pehra
gulabo se najuk mehkta badan hai
ye lab hai tumhare ya khilta chaman hai

bikhero jo zulfe to sharmaye badal
ye zaahid bhi dekhe to ho jaye pagal
wo pakiza moorat ho tum

bahut khoobsurat ho tum
bahut khoobsurat ho tum

jo banke kali muskurati hai aksar
shab-e-hijar me jo rulati hai aksar
jo lamho-lamho me duniya badal de
jo shayar ko de jaye pehlu gazal ke

bhulana bhi chahe to bhulayi na jaye
chupana bhi chahe to chupayi na jaye
wo pehli mohabat ho tum

bahut khoobsurat ho tum
bahut khoobsurat ho tum
Bahut Khoobsurat ho tum- Tahir Faraz Ghazal Bahut Khoobsurat ho tum- Tahir Faraz Ghazal Reviewed by Ashish Awasthi on November 15, 2014 Rating: 5

2 comments:

  1. Please dost, isse sahi likh lo,bahut bekaar likha hai aapne, original ka satyanash kar diya hai...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Batane ke liye shukriya bhai :) ab dekhiye padh ke

      Delete

Powered by Blogger.